paraya kerdiya hai itna... k ab humko woh hansna woh mazaq, woh daant woh maar woh pyar, woh roothna, woh manana, woh qasmein khana woh wadey kerna, woh maafi mangna, woh maaf kerna kuch bhi apna sa nahi legta...humse mazaq kertey kertey keb najanay tum ne hamein ik mazaq benadia...ya shayad tum hi ik mazaq they jisey humne zindagi ka sub se khoobsurat ahsaas samajh liya...galti hamari hi hogi:) shikwa phir tume se kesa...tum ne to sirf hansi di, aaansoo to meney khud likhey jo ab ja ker bilkul kahtam hogayey hain...aaj mein tumharey gham se azad hoon... kal shayad tum se bhi. aur phir shayad is jehan se:)
Meney keb chaha tha k tumhari zindagi mein aaoon, mein to sirf dosti kerney aai thi, mein to sirf pyar kerney aur paney aai thi... mujhey kya khabar thi tum apney hissay kla pyar ker k ussey bezar bhi hogeyey hogay, uski aisi shakal dekhchukey hogey, jis ki wejah se ussey derney legey hogay. meney to pyar ka sirf khubsurat chehra hi dekha tha, meney to sirf pyar mein khoney aur us mein amar hona seekha tha, meney to sirf aetebarr or toot k pyar kerna chaha tha, meney to sirf pyar mein deewana hona seekha tha... pyar mein udaas, be qerar, behis, gham se nidhal, behosh or pamal hona to tum ne sikhaya, pyar ko ik rog or ik mehnga shauq to tum ne saabit kiya...pyar itna mehnga, aur jaan leva nahi hai... yeh jaan deta hai, yeh zindagi deta hai, yeh sukoon deta hai, yeh taskeen deyta hai, yeh khushi deta hai...
yeh woh nahi deta jo tumney diya aur liya... tum ne pyar bhi kiya, aur dil bhi tora.
No comments:
Post a Comment